Website me Virus Kaise Check Kare

How to Scan and Check Virus in Any Website in Hindi

Hello Friends ! Aaj mai aapko Ek aisi Trick bataunga jisse ki aap apni Website ya Blog me Virus ki availability check kar sakte hai. Isse pahle mai aapko ek jankaari dena chahta hu ki aaj mai bahut hi jyada khush hu kyuki aaj se Google ne mere is Blog ko add dena shuru kar diya hai. Lekin mai yah credit aap logo ko dena chahta hu. Aap log mera blog daily dekhte hai iske kaaran mere Blog ka Traffic aaj is mukaam tak pahucha hai. Aasha karta hu aap isi tarah mujhse jude rahenge. To aaiye hum jaante hai ki kaise Apne Blog ya Website me virus ki availability ko check karein.  

What is Virus in Hindi?



virus kuchh aise programs hote hai jo ki logo ke computer , mobile ya digital devices ko nuksan pahuchane ka kam karte hai. Ye Virus bahut hi harmful hote hai. yadi hum Virus ka dhyan na rakhein to hume iska badaa khaamiyaza bhi bhugatana pad sakta hai. Isliye virus jaisi chizo se humesha savdhan rahein.

Kon banata hai virus?


Mera manna hai ki jo log Antivirus banaate hai vahi log virus bhi banaate hai. But aisa kahi likha hua nahi hai ye sirf mera opinion hai jo ki mai aap logo se sath share karne ja rha hu. Ji haa dosto mai to yahi samajhta hu ki ye Antivirus banaane wali companiyaa hi virus banaati hai. Aaj market me aisi kai saari companiya hai jo ki Antivirus banaati hai. In sabhi companiyo me virus banaane ki hod lagi rehti hai.

Sab taraf ye companiya apne banaae hue virus ko spoil karti hai. Virus banaane me jo coding ki jaegi uska tod usi ke paas hoga jisne virus banaya hai. Yaani ki suppose kisi company ne ABC name ka virus banaya hai aur ABC virus banaane me jo coding ki gai hogi uska tod sirf usi ko malum hoga jisne vo ABC virus banaya hai.

To ABC virus ko market me jitna jyada felaaoge Aapka Antivirus utna jyada bikega. Mai ek bar aur bata du aapko ki ye opinion sirf mera hai yadi aapko koi aapatti ho to iska mai kuchha nahi kar sakta kyuki mere desh me sabko apna opinion rakhne ka adhikar hai.

Website ya Blog Me Virus kaise check kare 

Yah ek bahut hi aasan tarika hai. vaise mai aapko do websites bataunga jinki madad se aap apni website / blog me virus chek kar sakte hai.


1.  www.virustotal.com



Is Website ko open karne ke baad jo page open hoga uski Image main niche Add ki hai. yahaa aap Apni Website ka URL dalkar scan kar sakte hai Aur Apni Website me virus ka pata laga sakte hai. Iske alawa aap apne computer se bhi koi file upload karke use bhi scan kar sakte hai. Is website ka yah ek bahut ki Achha feature hai.

2. www.sitecheck.sucuri.net

Is Website ka home page ka snapshot maine niche add kiya hai. Yaha Textbox me aapko apni website ka url dalkar scan button par click karna hoga. jaise hi aap Scan button par click karenge Aapki puri website scan ho jaegi. evan yah bhi bataya jaega ki aapki website me kitni files scaned hui aur kitne virus hai. Jaruri nahi ki har website me virus ho.



To Dosto meri yah post aapko kaisi lagi please comment jarur karein Aur koi Doubt ho to mujhe comment jarur karein mai aapko Solution dene ka pura prayas karunga. Thank You.