How to Add New Pages in Blogger

How-To-Add-New-Page-in-My-Blog-in-Hindi-Sadupayog-Blog

Page Adding Process in Blogger

Blog me page kaise aur kyu add kiya jata hai iske bare me hum aaj bat karenge. Blog me Page Add karne par hume kai sare fayde hote hai. Yadi aap apne blog me koi New Page create karna chahte hai, jaise ki aap apne blog me alag alag categories ke pages banana chahte hai to sabse pahle aapko apne blog me Pages Gadget  ko add karna hoga. 


Iske bad aap apne blog me jitne chahe New Page create kar sakte hai. Yadi aap ek new blogger hai aur aapne apni sabhi posts ek hi page (Home Page) par dali hui hai to aapko apne blog me alag alag category ke page add kar sakte hai. Alag Alag category ke pages add karne se aapke blog ko log easily aur achhe se samjh sakenge aur aapka blog pehle se kai guna sundar dikhai dene lagega.


Why Add New Page In Blog

Sabse pahle humare samne yahi question aata hai ki hum apne blog me new page kyu add kare. New Page add karne se sabse bada fayda yah hota hai ki yadi humaare blog me multiple pages honge to visitor apne blog par ek page se dusre page par navigate hote rahega aur jyada se jyada time aapke blog par spend karega.visitor yadi aapke blog me sirf ek single page dekhega aur aapke sari post jo ki alag alag category ki hai vo sari posts mix dikhegi.

Aisa blog jisme aapne alag alag categories ki sari posts apne home page par hi dali hui hai to visitor ko uske interest wali post dundhne me pareshani hogi aur vo aapke blog par bina ruke chale jaega. Isse aapka bahut bada nuksan ho sakta hai. Humara main lakshya yahi hota hai ki visitors ko apne blog par jyada se jyada time tak rokna.
Yadi aap apne blog ko beautiful banana chahte hai to usme category wise alag alag pages jarur add kare.
Blog me New Page kaise Add kare:
  1. Sabse pahle apne blog me SignIn Kare.
  2. Left Menu me Layout par click kare
  3. Ab jis section me aap new page add karna chahte hai vaha Add a Gadget par click kare.
  4. New window me aap Pages name ke option ke samne wale sign  par click kare
  5. Ab Save  Button par click kare.
  6. Ab Right Hand Side me Save Arrangement button par click karke View Blog  button par click kare aur apna blog dekhe.

To abhi tak humne yah sikha hai ki hum apne blog me Pages Gadget ko kaise add kare. Iske bad hum sikhte hai ki Pages Gadget  add karne ke bad hum apne blog me new page kaise create kar sakte hai, new page kaise edit kar sakte hai aur kaise hum new page ko delete kar sakte hai, in sab ke bare me detail me samajhte hai.
  1. Sabse pahle aap apne blogger me SignIn kare.
  2. Ab Left Panel me aapko Pages name ka link dikhai dega. Jis par aapko click karna hai.
  3. Ab New Page button par click kare.
  4. New Page ka title aur description daale.
  5. Ab Apne Page ko publish karne ke liye pahle ise Save kare, Preview kare aur finally Publish  button par click kare.
Kisi bhi page ko delete karne ke liye aap page select kare aur Delete optiopn par click kar dein. Iske bad Save par click kare.
Ab aap apne blog me jitne chahe utne new pages create kar sakte hai lekin unme se ek bhi page aapke blog par show nahi hoga. Apne Blog par New Pages ko kaise display karvate hai. read carefully...

1. Blogger par login kare.

2. Ab Left Hand Side me layout option par click kare.

3. Yaha par aap Right Hand Side me Pages Section me Edit Linkbutton par click kare.

4. Ab jo bhi pages ap apne blog par display karvana chahte hai unhe select kar le aur finally Save button par click karke View Blog Par click kare aur apne Blog ko dekhe.
To aaj humne sikha How to Add New Page in my Blog in Hindi.
Yadi aapko koi doubt ho to Question kar sakte hai. Plz Share this post. Thank You.