Google-Tricks-Shortcut-Trick-Keyboard-Shortcut-Tricks

Google Shortcut Tricks

Hello Friends! Aaj hum Bat karenge Google's Best Keyboard Shortcuts ke bare me. Jaisa ki humare computer ko operate karne ke liye Microsoft / Linux aur bhi kai sare OS ne apne apne Keyboard Shortcuts banae hue hai, to bhalaa Google kaise pichhe rahta is chiz se. Ji haan Google ke bhi kai sare Keyboard Shortcuts available hai jine hum nahi jante hai Aur Internet use karte time
hum sirf Mouse aur keyboard se hi apne computer ko oerate karne me lage rehte hai. To aaj hum janenge Google ke un Keyboard shortcuts ke bare me jihe hum Internet surfing ke dauran use me le sakte hai apna time bhi save kar sakte hai hard & fast work karke.

Benefit of Keyboard Shortcuts for Google

Shortcut ka sabse bada fayda yah hota hai ki hum apna time save kar sakte hai. Har chhote chhote tasks ke liye hum Keyboard aur mouse par bar bar hath le jate hai jisse ki humara jyadatar time waste hi ho jata hai. To Keyboard shortcuts ka use karke hum in chijo se bach bhi sakte hai aur humara kai sara time hum save bhi kar sakte hai. Time saving is the most important thing by using Googles' keyboard shortcuts.



When Use Keyboard Shortcuts

Hum jin Keyboard shortcuts ke bare me bat karne ja rhe hai un Keyboard Shortcuts ka use hum Internet surfing ke dauran kabhi bhi use kar sakte hai. Yani jab bhi humara browser open ho, tab hum in shortcuts ka use easily kar sakte hai.

Top Keyboard Shortcuts for Google

1. Ctrl + N: Humare Browser ki new window open karne ke liye hum Ctrl + N key ka use kar sakte hai.




2. Ctrl + T: Browser me New Tab open karne ke liye Ctrl + T shortcut key ka use kiya jata hai.

3. Ctrl + Shift + N: Is Shortcut key ko use karke hum browser ki new window Incognito Mode par open kar sakte hai. Ek bar try jarur kare.
4. Ctrl+O: Jab aapne koi browser open kiya hua ho tab aap yah shortcut key press kare. Ctrl+O press karne par aapke samne ek open Dialog box open hoga jisme se aap kisi bhi file (Audio/Video/Image) ko select kare. Select karne par vah file aapke browser me open hogi. Yani ki humare computer ke andar kisi bhi file ko apne browser me open krne ke liye hum is shortcut key ka use kar sakte hai.



5. Ctrl and click a link : Yadi aap apne browser me koi Important link dekhte hai, aur bina current page close kiye new link par jana chahte hai to aap is shortcut ka use kar sakte hai. Yani CTRL key press karke rakhiye aur us link par click kar dijiye. Isse yah fayda hoga ki aap to current page par hii rhenge but ek aur New window open ho jaegi jise aap baad me dekh sakte hai.



6. Ctrl+Shift and click a link: Yah shortcut Key bhi 5th point ki tarah hi work karti hai. Bs inme difference yahi hai ki aap New Tab par switch ho jaenge jabki 5th point me  humne dekha ki hum current window par hi rehte hai, new Tab par switch nahi hote hai.

7. Press Shift and click a link : Yadi hum koi link New and Fresh Browser window me open karna chahte hai to is Shortcut key ka use hum kar sakte hai



8. Ctrl + Shift + T: Browser me jab koi Tab humse galti se close ho jata hai aur hum use reopen karna chahte hai to is shortcut key ke dwara hum recently close kiye gye Tab ko reopen kar sakte hai.



9. Drag a Link to a Tab: Yadi hum kisi link ko new Tab me open karna chahte hai to us Link ko Drag karke new Tab me drop kar dijiye. Automatically vah page open ho jaega.
10. Ctrl +9 : Yadi humare browser me kai sare tabs open hai aur hum last wale tab par switch karna chahte hai to Ctrl+9 Keyboard shortcut key press kare. Aap apne aap recently opened new tab par switch kar jaenge.



11. Press Esc while dragging a Tab: Yadi aap galti se kisi tab ko drag kar dete hai aur uski actual position par use vapas rakhna chahte hai to Esc key press kar dijiye. Aisa karne se Vah Tab uske Actual position par vapas chali jaegi.



12. Ctrl+Q: Is Shortcut key ka use karke aap apne browser ko close kar sakte hai.



Note: ye tricks only Windows & Linux par hi work karegi.
To aaj humne Google ke Keybord shortcuts ke bare me sikha. Yadi aapko meri yah post achhi lagi ho to please comment jarur karein. Mai isi tarah aapke liye kuch new trick lekar aaunga aur aapko Hindi me sikhaunga. Milte hai meri next post me dosto.
Thank You Very Much.