what-is-wifi-hotspot-kaise-create-kare-in-hindi-sadupayog-best-hindi-blog

How to Create WiFi Hotspot for Laptop

Hello Friends! laptop wifi hotspot kaise create kare. Aaj hum is trick ko sikhenge Sadupayog Best Hindi Blog par. Jaisa ki aapko pata hai humare is blog ka main maksad hai Logo ki hindi me help karna. To aaj hum wifi hotspot software ke bare me discuss karenge aur pc wifi hotspot create karna sikhenge.

Sabse pahle to hume yah pata hona chahiye ki yah Wifi hotspot hota kya hai ? Iske bad hum hotspot create karna sikhenge. Yadi post achhi lage to share karna na bhule. Yadi aap mere is maksad me meri help karna chahte hai to please meri yah post aap facebook, whats app par share kare aur logo ki help kare. to chaliye ab hum start karte hai.
Yadi aap apne mobile me hotspot create karna chahte hai to yaha click kare -> Mobile hotspot


yadi aa aap Apne Laptop me Wifi Hot Spot (hotspot) create karna chahte hai to ye steps follow kare -

yadi aap apne Laptop me wifi hotspot create karna chahte hai to iske liye sabse pahle aap yaha click kare aur mhotspot software ko download kare. Aur apne Laptop me Install kar lein.

What-is-wifi-hotspot-in-hindi-sadupayog-best-hindi-blog

mHotSpot Software apne Laptop me Install karne ke bad aap apne according Hotspot ka name create kar sakte hai. Aur Password bhi dal sakte hai jaisa ki aap Image me dekh pa rhe honge.



 Iske bad aap Internet Source me Wifi option ko select kare. Aur Jitne users ko aap apna Internet access karne ki permission dena chahte hai uske liye aap Number of Max. client me select kar lein. Aur finally StartHotspot par click kar dein.



Lo ho gya aapka HotSpot ready. ab aap apna user ID aur password share karke dusre devices ko apna Internet Network share karne ki permission de sakte hai. Yah ek wifi modem ki tarah work karta hai. Aur kisi ko pata bhi nahi chalta ki aap ek wifi modem use kar rhe hai ya fir mHotSpot software.
To friends ! aapko aaj ki meri yah post kaisi lagi please comment karke jarur batae. Aur yadi is post me koi doubt ho to plz ask.
Thank You & have a nice day. :-)