Mobile par WiFi Hotspot Kaise Create Kare

How to Create WiFi Hotspot on Mobile

Hello Friends! aaj is post me hum bat karenge Mobile WiFi Hotspots ke bare me. Mobile Wifi Hots pot ek aisi technology hai jiske dwara hum ek digital device se dusre digital devices ko ek network ke through connect kar sakte hai aur dusre device ka Internet apne device me access kar sakte hai.

To aaj ki is post me hum sikhenge ki kaise hum apne mobile me ek hotspot create krke dusre devices ko apna Internet access karne ki permission de sakte hai. Start karne ke pahle aapko pata hona chahiye ki aakhir ye HotSpot hota kya hai. yadi aap janna chahte hai ki WiFi Hotspot kya hota hai to yaha click karein.- What is wiFi hotspot ?


Apne Mobile me Wifi Hotspot On karne ke liye niche di gai steps ko aap follow kariye -

mobile-wifi-home,Mobile par WiFi Hotspot Kaise Create Kare

Sabse pahle to aap Apne Mobile ki Setting me jakar More...

hots-pot

More Option par click karne ke baad aap WiFi Hotspot par click karein.



hotspot


Iske bad aap Tethering & Portable Hotspot option par click karein.

what-is-mobile-hotspot
Ab jaisa ki Image me dikhaya gya hai yaha par aap apne WiFi HotSpot ka name aur Password apne according rakh lein. Aur Save button par click karein.


Ab aap Apne Mobile ki Setting se bahar aa jae. Lo ho gya aapke mobile me Hotspot on. Ab kisi dusre mobile ya laptop ka wiFi on karein aur aapke dwara create kiye gye WiFi Hotspot ka name search kare. Search hone ke bad aap connect par click karke apne dwara dala gya WiFi Name aur  Password type kare. 5-10 seconds me dusre device me bhi easily WiFi connect ho jaega. 

Kyu ?  ho gya na ? :P
To dosto kaisi lagi meri yah post ? aapke kuchh kaam aaye to dua me mujhe yaad jarur kariyega. By the way Thank You very much meri is post ko carefully read karne ke liye. If any doubt, Plz ask.