What is Wifi Hotspot, Wifi Hotspot Kya Hai

What is a WiFi Hotspot?

Hotspot ek small network area hota hai, jisme ki hum apne mobile ya laptop se Internet network produce karke kisi or Mobile device ya laptop ko connect kar sakte hai aur unme bhi Internet access kar sakte hai. Yadi kisi ek mobile phone ya laptop me Internet connected hai to hum uske madad se dusre digial devices me Internet ko access kar sakte hai.

For Example : yadi aap apne kisi friend ke sath baithe hai aur uske mobile me Internet chalu hai. Aur aapke mobile me Internet pack nahi hai. Yadi aap bhi apne mobile me Internet access karna chahte hai to iske liye aapko apne friend ke mobile me Hotspot on karna padega. Tabhi aap aap apne mobile me bhi Internet free internet access kar paenge.


Iske alawa suppose that aap kahi travel kar rhe hai ya aap kisi hotel me ruke hue hai ya fir kisi comapny me work kar rhe hai aur aapke Mobile ya laptop me Internet on hai to aap Hotspot on karke bhi dusre devices ko Internet access karne ke liye allow kar sakte hai.
Apne Mobile ya laptop meHotspot kaise create kare ?


Hotspot Create karne ke Fayde

Hotspot create karne ka sabse mail benefit to yahi hai ki aapko apne sabhi digital devices me Internet pack rechage karne ki jarurat nahi hogi. Yadi aapke ek bhi Digital Device me Internet pack hai aap dusre device me bhi Internet access kar sakte hai.


Meri yah comment aapko kaisi lagi plz comment jarur kare. Aur jude rahiye mujhse mai aapke liye jaldi hi ek very new and interesting post lekar aaunga.Thank You. :-)