Get-Whats App-New-Features-Updates

How to Become Whats App Beta Tester/Member?

Kya aapko pata hai Whats App, Facebook ya fir or koi bhi Software/Website ya App mein jab bhi koi new feature add kiya jata hai, to sabse pahle iski testing ki jati hai. To aaj hum yha bat karenge Whats App ke bare me. Whats App mein jab bhi koi new feature add kiya jata hai to iske pahle iski testing ki jati hai aur testing me success hone ke baad hi ise launch kiya jata hai. 


Kuchh logo ka ek group hota hai, yah group Whats App me new features ko use karta hai aur test karta hai. Yadi isme koi problem ya error aati hai to ise Whats App ki team ko send kiya jata hai. Aur Whats App ki team dwara ise fir se solve kiya jata hai. Aur fir se testing team ko testing ke liye diya jata hai. Jo log in features ko test karte hai unhe  Tester kaha jata hai.

Yadi aap chahe to aap bhi Whats App Team ke  Test ban sakte hai. Iske liye aapkko As a Tester Whats App ko join karna padega, iske liye koi fees nahi hai. Yah bilkul free hai. Isse aapko yah fayda hoga ki jab bhi Whats App ka koi new feature launche hone wala hoga to, launch hone ke pahle hi aap ise as a Tester use kar sakte hai. Yani ki sabse pahle aapke pas yah feature aa jaega. Testing clear karne ke baad finally ise market me launch kar diya jata hai. Mai aapko batata hu ki kaise aap bhi Whats App team ko As a Tester join kar sakte hai.


Iske liye aap apne Mobile ya  Computer me niche di gai link ko open karein. 

Ab aapko ek Become a Tester name ka button dikhai dega.
How to Become a Whats App Beta Tester

Is button par click karne ke baad aap whats App ke Tester ban jaenge. Lekin iske liye aapko us E-mail Id se login karna hoga jisse ki aapne apne mobile me account banaya hua hai. Login karne ke baad aap Become a Tester button par click kar paege . Aur finnaly ab aapke samne likha hua aaega -  You are a Tester.

Means ab aap Whats App Team ke Tester ban chuke hai.  Ab jab bhi Whats App par koi new feature launch hone wala hoga, to sabse pahle testing ke liye vah aapke Whats App par dikhai dega iske baad hi vah new feature market me launch hoga.
To dosto hai na yah ek mazedaar chiz. Yadi aapko meri yah post pasand aai ho to please comment jarur karein. Mujhe roj aapke 100 se bhi jyada E-Mails aate rehte hai. Aur mai har E-Mail ka replay karne ki puri koshish karta hu. To dosto milte hai meri new post me. Thank You for reading this post. Bye.