Modi Government Startup Indian Yojna

Start-Up-India-Stand-Up-India-In-Hindi-Sadupayog-Best-Hindi-Blog

All About Start-Up India Scheme in Hindi

Start Up India aur Stand Up India ke bare me hum me se kai logo ne suna hoga. Aur kai sare log aaj bhi Google par search kar rhe hai "What is Start Up India & What is Stand Up India". Yadi aap iske bare me jante hai to koi bat nahi lekin mai bhi Start Up India aur Stand Up India ke bare me aap logo ke sath apna kuchh knowledge share karna chahta hu, jitna ki mai janta hu. Koshish karunnga ki aapko sabkuchh achhe se samjh aa jae.

Start Up India ko ya to aap ek plan keh lijiye ya fir ek project keh lijiye, jo ki India Govt. dwara recently start kiya gya hai. Indian Govt. youngsters (nojavaano) ke liye is project/Plan me bahut had tak help kar rhi hai. Indian Govt. ke is plan se humare desh ko bahut jyada fayda hoga. Indian currency, Dollar ke againt tik nahi pa rhi hai Aur Rupaye ka graph niche girta hi chale ja rha hai. It means Bharat ki aarthik sthiti kamjor hoti ja rhi hai. 

Jiska ek sabse bada reason hai, humare paas Production ki kami hai, jiske karan hume India ke bahar se products ko import karna hota hai. Hum (India) Export karne ke mukabale jyada se jyada chize Import kar rhe hai. jisse ki hume 1 Dollar ke mukabale approx 65 rupies dena pad rha hai. Yadi hum koi chiz Export karte hai to log hume sirf 1 Dollor (as US currency) dete hai , jabki badle me hume near about 65 dollar dena hota hai. Yahi humare liye sabse badi pareshani bana hua hai.

Kaise Help karega Start Up India

Start Up India, Indian Govt. ka ek aisa plan hai jisme ki Govt nau-javaano / Yovaao / Yungsters ko naye naye Udhyog start karne ke liye keh rhi hai. Jisse ki aur bhi logo ko rojgar/ Job mil sake aur India me hi naye naye products ready ho sake. Yadi India me hi sabhi prakar ke products ready hone start ho jaenge to hume bahar se kam se kam chize Import karni padegi.

Aur hum jyada se jyada chize / services Export kar sakenge. Iska sabse bada fayda yah hoga ki hume 1 Dollar (As US currency) ki jagah humare desh ke according near about 65 rupaye milenge. Mean kam chize Import hogi to hume jyada nuksan bhi nahi hoga aur Jyada chize Export hogi to hume (Govt) ko fayda bhi bahut hoga. Start Up India vakai ek bahut hi shandar plan/Project hai, jiski puri duniya me sarahna ki ja rhi hai.

Govt. humari Help kaise karegi Start Up India me


Aaj desh me aise kai sare Yuva hai jinke pas ek se badhkar ek new business ideas to hai lekin unke pass invest karne ke liye paisa nahi hai, jaise ki aap. Youngsters / desh ke Yuva new business to start karna chahte hai but financial condition thik nahi hone ke karan un logo ko chupchap baithna pad jata hai.

To yaha mai aapko batana chahta hu ki aise hi logo ke liye Indian Govt. ne Start Up India plan ki shuruaat ki hai. Isme Govt youngsters ko loan provide kar rhi hai. Aur yadi aap Start Up India ke antargat Loan lete hai to aapko Govt ki or se kai sari suvidhaein bhi uplabdh karaai jaegi. jisse ki aap apna business easily start kar sakte hai aur kai sare be-rojgar logo ko rojgar bhi de sakte hai.

Loan ke liye apply karte samay aap sari terms & conditions ko thik se padh lein, usi ke bad Loan ke liye apply karein. Aur yadi aap apna business already start kar diya hai to bhi aap Bharat sarkar ki yojnaao ka fayda utha sakte hai. Pahle se apna Business start kar dene wale log bhi Start Up India scheme ke andar aa sakte hai lekin iske liye kuchh rules hai jinhe aapko follow karna padega.

Kya hai rules

  • yadi aap ek businessman hai aur aap apne business ko Start-Up project ke antargat lana chahte hai to sabse pahli shart to yah hai ki aapka business  years se jyada old nahi hona chahiye.
  • Dusri shart yah hai ki aapke business ka yearly turn over 25 lac tak ka hona chahiye tabhi aap ek Start Up mane jaenge.
  • Iske alawa aur bhi kai sari term & conditions hai.
Industry se jude logo ka manna hai ki aane wale 10 salo me IT sector ki tarah hi Start Ups me bhi ek dum se boom aaega. jisse ki 30 se 35 lac logo ko rojgar mil sakega.

Whats is Start Up ? Start Up Kya hai ?


 Vaise to aamtor par kisi company ya business ki shuruaat krne ko hi Start Up kaha jata hai. Start Up me kisi company ya business ko start karne ke bad humko develop kiya jata hai. Isme yuth company start karne ke bad aise products ya services market me launch karta hai jo ki market me pahle se available nhi hote. Aise products/services market me launch karne ke liye ve log apne ideas logo ke sath share karte hai. Aur apni services/products ko market me lekar aate hai. Isi chiz ko shahi shabdo me Start Up India kaha ja rha hai.

Start Up ke liye Tearms & Conditions

kisi bhi company ko Start Up category me aane ke liye ya to vah company Pvt.Ltd. hona chahiye, ya koi partnership firm hona chahiye ya fir ek Limited liability partnership firm ke rup me registered hona jaruri bataya gya hai. Iske alawa jaisa ki maine abhi aapko bataya compnay ka turn over bhi 25 lac tak hona chahiye. Tabhi vah company start Up ke antargat mani jaegi.
yadi koi doubt ho to comment karke jarur puchhe. Aapko meri yah post kaisi lagi please comment karke jarur batae. Thank You Start Up India.