How to Make Free Website in Hindi Sadupayog Best Hindi Blog

How to Make Free Website or Blog

Hello Friends Kya aap jante hai ki aap apni website khud kaise bana sakte hai. To aaj hum is post me janenge ki how to make free website in hindi.

Free Website banane ke liye vaise to internet par kai sare platforms available hai jaise ki - blogger, indiawix, wordpress, simple site etc. Aise kai sare platforms internet par available hai jo ki hume free website banane ke liye invite karte hai.

To aaj hum blogger par apni free website banana sikhenge. Blogger par free website banane ke liye hum kya steps follow karni hogi ye mai aapko is post me batane ja rha hu, please read carefully.

Kon sa Browser hona chahiye

yadi aap blogger par free webiste banana chahte hai to aapke pas inme se koi ek browser hona chahiye -
  • Google Chrome
  • Safari version 4 ya isse upar
  • Firefox Version Version 3.0 ya isse upar
  • Microsoft Edge
  • Internet Explorer 10 या 11

Kaun sa Operating System Hona jaruri hai

Yadi aap blogger par apni free website banana chahte hai to aapke pass Windows / Linux ya Mac operating System hona jaruri hai.
Ek Gmail account se kitne blogs (Free Website) bana sakte hai

aap apne ek Gmail Account se kam se kam 100 Blogs bana sakte hai. Yadi aapko 100 se adhik blog create karna ho to aapko iske liye dusra Gmail Account banana padega.

New Blog banane ke liye ye steps follow kare

  1. Apne Browser me blogger ki webiste open kare.
  2. Ab New Blog par click kare.
  3. Ab jo pop-up window open hogi usme apne blog ka name ya blog ka Title (Website name) Type kare.
  4. Apne blog ka address (website URL) daale. Blog URL means aapke webiste ka address hota hai jiske dwara log apni website ko duniya me kahi bhi baithkar open kar sakte hai.
  5. Blog ka name aur address dene ke bad apne webiste ke liye achhi design (Choose Template) select kare. Jo ki ek dum simple ho aur kisi bhi Device par easily load ho jae. 
  6. Ab Create Blog par click kare.

Apne Blog ke DashBoard par kaise jae 

Apne Blog ke dashboard par jane ke liye aap sabse pahle apne yaha click kare aur apne Gmail Account se logIn kare. Login karne ke baad aap kuchh important links dikhai degi. 
  • Apne Blog ko manage karne ke liye aap apne Blog Title par click kare.
  • Yadi aap apne blog me koi post dalna chahte hai to New Post par click kare.
  • yadi aap apni sabhi posts ki ko ek sath dekhna chahte hai to List Post par click karke dekh sakte hai.
  • yadi aap dekhna chahte hai ki aapka blog kaisa dikhai deta hai to aap View Blog button par click karke apne blog ki design dekh sakte hai.
  • Yadi aap kuchh aur options dekhna chahte hai to                More Options par click karke kuchh extra options bhi dekh sakte hai.

  • Aise hide kare computer me apna data


Apne Blog ko Manage kare

Ek bar jab aap apna blog create kar lete hai to easily apne blog ko  View Blog par click karke dekh sakte hai aur blog ko manage karne ke liye Blog Dashboard par bhi easily redirect ho sakte hai.

jab aap apne blog me koi post likhte hai to use Blog Post kaha jata hai. New Post likhne ke liye aap New Post button par click kare.

Aur Post likhna shuru kar dein. Jab Post complete ho jae to use publish kar dein.
Apne blog ke left side panel me aapko kai sari links dikhai degi jaise ki Posts, Pages, Comments, States, Manage Earning, Campaigns, More Options  etc.

Manage Earning Option ke dwara aap apne blog se kuchh paisa bhi earn kar sakte hai.

Blog ka look kaise change kare

Yadi aap apne Blog me navigation Tabs (Ex- Home, About, contact,etc.) rakhna chahte hai to Blog ke Dashboard me Layout par click kare.

Ab Right Hand Side me navbar box ke niche aapko chhota sa Edit option dikhai dega. Is par click karke aap apne blog me navigation tabs laga sakte hai.

Yadi aap chahte hai ki Blogger ke features ke baare me aapko continue updates milti rhe to aap is option ko is prakar se on kar sakte hai-
  1. Apne Blog me LogIn kare.
  2. Right Hand Side me Options par click kare.
  3. Edit User Setting ko select kare
  4. Email Notification option me jakar Feature Announcement ko select kar dein.
  5. Ab Save button par click kare.
Post Achhi lage to please comment kare. Aur yadi koi Question puchhna chahe to comment me apna Question likhe.Thank You.