Mobile par Live TV Kaise Dekhe

Hello Friends ! How are you ? Ghar baithe TV dekhne ka maza to sabko aata hai. Lekin Sochiye jaha bhi aap jaein vahaan TV aapke sath sath aae to aapko kaisa lagega. Sochiye yadi aap jaha chahe vha TV on karne ki soche aur suddenly vha TV pahuch jae to aapko kaisa lagega. Ek aisi hi Mobile Trick main aapke sath share karne ja rha hu, jisse ki aap jaha chahe, har jagah, jab jee chahe TV chalu kar sakte hai. Bas main jaisa kahu vaisa aap karte jaaiye. Dhyan se padhiyega yah post. Ab aap bhi Apne Android Mobile par TV chalu karne wale hai.

  • Truecaller से अपना नाम और नं  कैसे हटाएँ 
  • किसी के द्वारा Delete किया हुआ Whats App Message कैसे पढ़ें ?
  • TV on karne ke liye kya karna hoga 


    Yadi aap apne Android Smart Phone par Live TV dekhna chahte hai to aapko jyada koi badaa kaam nahi karna hai. Bas Ek App Download karna hai aur us App me instructions Padhte hue TV on karna hai. Isme alag se aapko koi investment nahi karna hai. ha lekin yadi aap free channels k alaava koi channel yaani koi paid channel dekhna chahte hai to jarur aapko paise dene pad sakte hai. Lekin Abhi hum Free channels ko apne mobile par dekhenge.

    Step By Step Process

    1. Sabse pehle Aap Apne Android Mobile ke Play Store me jakar "nexGTV" application download karein. jaisa ki Image me dikhaya gya hai.

    2. NexGTV App download karne ke baad aap ise open karein. Jaise hi aap NexGTV App ko open karenge aapke samne kuchh prakar se ek Page open hoga.


    3. Jo new Page aapke samne open hoga vha par aapko ek "Skip" name ke link par click karna hoga. Yadi aap pehli bar Yah App ko test kar rhe hai to ho sakta hai skip link aapko shayd na dikhai de.



    4. Skip link par click karne ke bad aapke samne kuchh is tarah se page open hoga. Yaha yadi aapko movie dekhna hai to "Live TV" par click kariye Aur yadi aap Movies dekhna hai to "Movies" Option par click kariye. Iske alawa "TV Shows" aur "Videos" options bhi yahaan availble hai. Aap apni ichhanusar yha option choose kar sakte hai.

    5. Koi bhi Option choose karne ke baad aapke samne jo bhi page open hoga vha bottom me aapke samne kuchh options dikhai denge. aap "Live TV" options  par click karein.

    6. "TV Show" Option par click karne ke baad aapke samne yah page open hoga. Aur right hand side me aapko channels ki list dikhai degi. Inme se kuchh channels Aapke liye free hai Aur kuchh Channels  aap payment karke dekh sakte hai. Filhal hum Free channels dekhte hai. Channel List me se aap koi bhi channel select karein. Jo bhi channel Free hoga. Us par "Free" Likha hua dikhai dega. Yadi "Free" Likha hua dikhai de to aap samjh lijiye ki vah channel aapke liye free hai.

    Aur yadi aapko "Free" likha hua nahi dikhai de to samjh lijiye ki aapke liye vah channel free nahi hai. us channel ko dekhne ke liye aapko payment karna pad sakta hai. Har channel ke alag alag tarrif plans hai jo aap channel ke name par click karke dekh sakte hai. Suppose mai "Aajtak" News Channel dekhna chahta hu to maine Aajtak Channel Select kiya.


    7. "Aajtak" News Channel k upar aap dekh sakte hai "Free" likha hua hai. yaani yah channel hum free me dekh sakte hai iska hume koi payment nahi karna hai. Jaisa hi main Is channel par click karta hu kuchh buffering hone ke bad aapke samne yah News Channel Live chalne lagega. jaisa ki maine niche snap shot Add kiya hai.


    To dosto aap apni ichhanusar jo bhi free channels free availbale hai vo dekh sakte ha. Aur yadi aap kuchh pay kar sakte hai to pay karke bhi aap yha par live TV dekh sakte hai.




    Video ke dwara bhi aap apne Android Mobile par Live TV play karne ka tarika jaan sakte hai.



    To is prakar aap apne Android Mobile par Live TV channel Dekh sakte hai. Yadi meri yah post aapko achhi lagi ho to please comment jarur kariye. Aur koi Doubt ho to comment box me apna Question bhi likhiye, Thank You.