How to use Android Mobile as Wireless Mic

How to use Android Mobile as Wireless mic for Laptop or sound

Apne Android Mobile ko Wireless Kaise Banaye

Hello friedns ! Kya aapne kabhi socha hai ki aap apne Android Smart Mobile ko as a wireless mic (माईक) bhi use kar sakte hai. Android Mobile ki ek aisi hi killer trick aaj hum is post me padhenge. Iske liye aapko jyada kuchh nahi karna hai bas meri is post ko dhyan se padhiye taki aapko ek hi bar mesamajh me aa jae aur bar bar is post ko na padhna pade. Aur fir bhi yadi samajh me nahi aae to aap mujhse is post ke niche comment box me comment karke apna Question mujhse puchh sakte hai.

wireless mic ke liye Kin chizo ki jarurat padegi

Yadi aap apne mobile phone ko wireless mic ke rup me use karna chahte hai to, pahli bat to yah ki aapke pas Android Smat Mobile phona chahiye. Dusri bat yah ki Aapke Mobile me Internet hona chahiye, iske alawa ek dusra digital device jaise ki Mobile / PC / Tablet / Laptop etc. . Aisa isliye Qki jab aap apne mobile me kuchh bolenge to aapko dusre device me sunai dega vo bhi live.

Niche di gai Steps ko follow kare



Android Mobile Trick, How to use Wo Mic



sabse pahle aap apne Android mobile ke playstore me jakar "WO MIC" free mobile download kare. jaisa ki Image me dikhaya gya hai.


 Is App ke install hone ke bad aapko apne PC / Laptop me client side "WO Mic"  software aur driver install karna hai. Ise aap google me search kar sakte hai ya fir yaha par click kare.
 ab aapko yah page dikhai de rha hoga.

Apne Android Mobile ko Mic ki tarah use kare


Jaisa ki Image me dikhaya gya hai aapko dono software (1.client setup program 2. Wo mic device driver) download karna hai.

Iske bad bad me jab aap mobile me "Wo mic" start karenge to vaha par aapko ek id address dikhai dega. vah IP address aapko apne PC me driver install kiya hai usme dalkar mobile ko PC se connect karna hoga. Jaise hi aap connect par click karenge aapka Mobile aapke PC se connect ho jaega. Ab aap apne mobile me bol sakte hai aur apne PC/Laptop me sun sakte hai.

Ab aap apne mobile ko apne ghar ke ya office ke lkisi bhi room me rakh sakte hai aur dusre room me kya baate ho rahi hai vo apne Laptop/PC me live sun sakte hai aur kisi ko pata bhi nahi chalega.
means aap yaha sidhe sidhe par ek teer se do nishaane laga rhe hai. ek to aap apne Android mobile ko wireless mic ke rup me use kar rhe hai aur dusra aap apne Android mobile ko hidden wireless mic ke rup me bhi use kar sakte hai. aur dure room me ho rhi bato ko sidhe sun sakte hai.


Note:  Dono hi device same network me honge tabhi yah trick work karegi. otherwise aap bekar hi pareshan hote rahenge.

To aaj aapne is post me sikha ki aap apne mobile ko as a wireless mic kaise use kar sakte hai. Yadi aapko koi doubt ho to apna question niche type kare. Thank you in advance.