How to Convert .docx to .pdf

How to Convert MS Word File into PDF without Software

How to Convert MS Word File into PDF without Software

Hello Friends ! Good Morning. Kya aap jante hai ki documentation ya resume jo ki humme se adhikatar log word file me banate hai use pdf file me bhi badla ja sakta hai. Jee haan kai logo ko yah jankari nahi hoti hai ki ek word file ko pdf file ya ek pdf file ko word file me kaise convert kiya jata hai. To aaj ki yah post aisi logo ke liye hai jo ki word to pdf aur pdf to word file convert karne ki trick janna chahte hai. Iske liye aap yah post dhyan se padhein. Aur yadi koi doubt ho to comment karke mujhse puchhe. To chaliye shuru karte hai.

Word File ko PDF File me convert karna ya PDF File ko word file me convert karna koi badi bat nahi. Yah ek bahut hi aasan tarika hai. Koi bhi person Word-to-PDF Aur PDF-to-Word file convert kar sakta hai. Niche jo steps di gai hai unhe aap follow karke yah kaam easily kar sakte hai.


Kya Tarika Hai

Dosto vaise to aap "PDF-to-Word File Convertor" name ka software download karke bhi yah kam kar sakte hai. isi tarah "PDF-to-Word File Convertor" name ka software bhi internet par free availble hai jise download karke aap File Convert kar sakte hai. Lekin aaj main aapko ek aisa tarika batane ja rha hu jisse aapko koi software download karne ki jarurat nahi hai. Niche di hui steps follow karte hue aap easily word-to-PDF file convert kar paenge.



1. Sabse pahle aap apna browse open karein.Iske bad Browser me type karein - > www.www.freepdfconvert.com 

 jaisa ki niche image me aap deskh sakte hai.




2. Website ke load hone ke bad aapke samne kuchh is tarah ka pageopen hoga. open hoga.




Ab aap "select File" button par click karke computer me us file ko select karein jisko aapko convert karna hai. 



Iske bad aap yah select karein ki aapko word file kon se format me convert karna hai. Means yadi aap apni word file ko PDF me convert karna chahte hai to PDF select karein aur yadi aap Word File ko kisi Image ke rup me convert karna chahte hai to Image select karein. Iske bad aap "Convert" Button par click karein. Aur kuchh der wait karein. Aapki file kuchh hi seconds me convert hokar download ho jaegi. Aur aap jo output chahte the vo aapko mil jaega. 

To Dosto aaj maine aapko bataya ki kaise aap ek word file ko PDF ya kisi Image file me easily bina kisi software ke convert kar sakte hai. Yadi meri yah post aapko achhi lagi ho to please yah post share jarur kariyega. jaisa ki meri yah post aapke kaam aai mai chahta hu ki aap bhi is post ko share karke dusro ki help karein.

Yadi aap yah process hindi me video ke dwara samjhna chahte hai to niche maine ek video add kiya hai us par click karke bhi samajh sakte hai. Video achha lage to share ya comment jarur karein.

Thank You.