weblog-my blog-best search engine-white hat seo-web s-black hat seo-seo techniques-on page seo-what is blog

Apne Blog ko Google ke First Page me Rank Karaye

Hello Friends ! Aaj hum bat karenge ki hum apne Blog ya website ko Top Google Search List me kaise lekar aae. Sath hi hum Blogger SEO par bhi charcha karenge. Maine aise kai logo ko dekha hai jo ki regular blogging karte rehte hai Aur blog ko apna pura time dete hai lekin fir bhi unka blog Google Search Engine ki top List me nahi aata. Means Google me koi keywords dalne ke baad bhi unka blog ya website dur dur tak dikhai nahi dete. To dosto is post me hum isi bare me discuss karne ja rhe hai, jisse ki aapka blog Google Search Engine ki Top list me aa sake.

To Dosto mai aapko kuchh tips dene ja rha hu jinko aapko apne blog me apply karna hai aur aap dekhenge ki 7 se 10 din ke andar andar aapko achhe results milna start ho jaenge. Bs jaisa mai aapko batau vaisa aapko karte jana hai. Maine bhi ye sari chize apne blog par apply ki hui hai. Aap bhi kare aur Google Search Engine me apne blog ka achha result paaein.

<Meta> Tag Jarur Lagae


Dosto yadi aap ek blogger hai aur aapne abhi tak apne blog me Meta tag ka use nahi kiya hai to aap turant apne blog me <Meta> Tag ka use karein. <Meta> Tag, SEO  ka ek bahut hi important Tag  hai. Jisme ki aap apne Blog ke Keywords ko rakh sakte hai. Iske liye mai aapko bata hu ki aapko Meta tag kaha aur kaise use karna ha.
Sabse pahle to aap apne blog ko Dashboard par jakar Template par click kare. Aur iske bad  Edit HTML par click kare.

Iske bad aap  CTRL+F  key press karne ke bad </head> ko search karein. Ab  </head>  tag ke just upar, niche diye gye code ko copy-paste kare.



Is code me aap url me apne page ki link dalein. Jab bhi aap koi new post dalenge to har ek new post ke liye aapko yah code copy paste karna hoga aur us post ka url yaha par paste karna hoga. URL ke bad ab baat aati hai description ki. description wali line me aap content='<apni post ka description>' daale.

Iske baad Keywords wali line me aap  content='apni post ke liye keywords' daale. Har keyword ke bich me aap comma (,) laga dein.  Dhyan rhe ki Keywords aapko bahut hi soch samjh kar dalne hai.
Google Search Engine ya  Google Search List me apne blog ko laane ke liye  keywords  hi sabse main chiz hoti hai. Yadi aapke keywords hi sahi nahi hai to fir aapke blogging karne ka koi matalab nahi hai. Aap faltu me hi pareshan hote rahenge. Aap Google par Keword Planner par jakar bhi apne blog ke liye Keywords search kar sakte hai. Iske bad aap vo keywords  Meta  tag me apply kar sakte hai.

Image me SEO kaise kare



seo services company-google web search-web blog-web ranking-google site search-seos-popular search engines-blog post-video search engine-what is search engine

Dosto ek bat hmesah dhyan rakhe ki yadi aap apne blog ki post me koi Image apne PC se upload karte hai to us Image ko ek proper name dein. Means aap Image ke name me hi  Keywords ka better use kar sakte hai. Jaisa ki maine aapko Image me dikhaya hai.

Isse aapka blog Google Search Engine me teji se upar aaega. Aur Image ke kaarna bhi aapke blog ki ranking jyada speed se badhne lagegi. Ha ek bat ka aur dhyan rakha jae ki apne blog me aap aisi attractive Images upload kare jisse ki user Image ko dekhte hi aapke blog ki or attract ho jae aur aapki post padne lage. Great bloggers ka manna hai ki aapke blog me 1000 words = 1 Good Image hoti hai. Isliye Image upload karne ka achhe se dhyan rakhein.

Image ki Property me Keywords Dale

         Jab bhi aap apne blog me koi Image upload karte hai to post likhne ke dauran aap us Image ko select kare, select karne ke baad aapko kai sare options dikhai denge jinme se ek option  properties name ka bhi hoga. Properties par click karne ke baad aapko Title Text aur  alt Text name ke  2 textboxes dikhai denge. un dono textboxes me bhi aap apne Keywords dal sakte hai. Itna karne ke baad aap dekhenge ki 7 se 10 din me aapke blog ki kaya hi palatane lagegi.

Apne blog ko Google Sitemap Submit kare

Apne blog ko google sitemap par submit karna bilkul na bhule. Vaise hota kya hai ki jab bhi hum koi new post publish karte hai tb google humari new post ko turant hi apne search Engine me nahi leta hai. google search Engine me is post ko update hone me 2-4 din lag jate hai.

Iske liye hume Google Search Console par apne blog ki new post kko submit karna padta hai jisse ki Google Search Engine me humari post turant hi submit ho jae. Google Search Console par apni website ya blog ka  sitemap submit kaise karte hai jaanne ke liye yah post pade- > Click Here.

To dosto aapko meri yah post kaisi lagi please comment karke jarur batae. Aap logo ka pyar hamesha aise hi milta rhe hai ReQuest hai.

Milte hai next post me. Thank You.