How to get IMEI Number of my phone

How to get IMEI Number in My Mobile Smart Phone

Hello Friends ! What is IMEI Number Of My Mobile ? Kya aap jante hai, aapke Mobile ka IMEI Number aapke lie kitna Important hai.IMEI ka full form hai - International Mobile Equipment Identity. Jaise ki Car chalaane ke liye Car ka number hona jaruri hai utna hi jaruri hai aapke mobile ke liye IMEI number.

To aaj is post me hum bat karenge ki kaise hum apne  Mobile ka IMEI number pata kar sakte hai aur iski Importance kya hai. Hum koi bhi vehical ki jankari online  trace kar sakte hai yadi humare pas us car ka ya vehical ka number ho.

Importance Of IMEI Number

Vaise to koi bhi person apne Mobile ki IMEI number ki Izzat (care) nahi karta. Aur to aur apne mobile ka IMEI number janne ki koshish bhi koi nahi karta. Lekin jab kabhi uska mobile gum ho jata hai tab vah apne mobile ka IMEI number dhundhne ke liye jamin aasman ek kar deta hai.

Ji haan IMEI number aapke mobile ki ek aisi master key hai jisse ki aapka mobile easily track ho sakta hai. Jab aap Police station me apne mobile ke gum hone ki report karte hai tab aapko apne Mobile ka IMEI number likhvana hota hai. Iske alawa aapne jaha se apna mobile purchase kiya tha usko apna IMEI number bata kar bhi apne mobile ko trace karne ke liye help le sakte hai.

IMEI Number kaise pata kare

Mai aapko aisi Trick ke bare me bataunga jisse ke aap apne mobile ka Unique IMEI number jaan sakte hai. Jaise ki har vehical ka apna ek unique number hota hai aur hum uske number se us vehical ke bare me jankari trace kar sake hai usi prakar se har ek mobile ka bhi ek apna unique IMEI number hota hai. Aise pata kare apne mobile ka unique IMEI number -

USSD code se :

Mai aapko ek code batata hu jiski help se aap apne mobile ka IMEI number pata kar sakte hai. Lekin Sirf dekhne ke liye hi mai aapko yah trick nahi bata rha hu. Mai chahta hu ki aap apne mobile ka IMEI number kahi par Note kar lein to jyada better hoga. Jisse ki jarurat padne par aapko idhar udhar bhagna na pade.

 *#60#    Yah code dal kar aap apne mobile ka IMEI number pata kar sakte hai. Dhyan rahe ki apna IMEI number Note karna na bhulein. 

Android Mobile me :

Android Mobile me aap apna IMEI number janne ke liye Setting par click kare. Iske bad About par click kare. Jab aap About par click karenge to thoda niche ki or scroll karne par aapko aapne mobile ka Unique IMEI number dikh jaega. Jiske aap kahi note karke rakh lein to jyada better hoga.

Simple Mobile me :

Yadi aapke pas ek simple sa keypad wala mobile hai to bhi aap apne mobile ka unique IMEI Number pata kar sakte hai. Aap apne mobile ki battry ko bahar nikaliye. Jaise hi aap apne mobile ki battary bahar nikalenge aapko apne mobile ka IMEINumber dikhai dega. jise aap Note karke future ke liye surakshit rakh sakte hai.
In sabke alawa bhi yadi aap apne mobile ka IMEI number note karna bhul gye hai aur aapka mobile suppose gum ho gya hai fir bhi chinta karne ki koi jarurat nahi. Aapne jab apna mobile purchase kiya hoga tab jis box me aapka mobile pack tha us box ke upar bhi Mobile ka IMEI number likha hota hai. Aap vaha se bhi IMEI number lekar police station me ya Mobile dealer ke pas jakar inquiry kar sakte hai.
To dosto aaj humne is post me sikha IMEI Number  ki Importance aur hum kaise hum apne Mobile ka IMEI number jan sakte hai.aapko meri yah post kaisi lagi please comment karke jarur batae. Milte hai Sadupayog ki Next post me.