Google Adsense Kya Hai

What is Google Adsense in Hindi complete detail for beginners

Explain All About Google Adsene in Hindi

Hello Friends ! aaj hum bat karenge Google Adsense ke bare me aur janenge ki Google Adsense kya hota hai aur isse hum kaise ghar baithe paisa kama sakte hai. Yadi aap ek blogger hai yani aap koi blog likhte hai, ya aap koi article likhte hai, ya aapki koi personal website hai to fir aap Google Adsense ka use karke ghar baithe paisa kamasakte hai. Yadi aap chahe to free website/blog bhi bana sakte hai. jiske liye aapko koi paisa kharch nahi karna hoga.

Sabse pahle to hum janenge ki Google Adsense hota kya hai. to mai aapko yaha apni ek real life ka example dena chahunga ki, aap axar dekhte honge ki aapke town/city me bade bade hordings lage rehte hai jin par badi badi companiyo ke ads lage hote hai.

 Un companiyo ke ads aapke town/city me lage hai iska matlab yah to nahi ki vo company khud khud chalkar aapki city me apna banner/flex/hording lagaane ke liye aao thi. 

Apne Ads alag alag cities me lagaane ke liye koi bhi company sabse pahle Advertising companies se contact karti hai fir vo advertising company aapki city me Ads ke liye space search karti hai, aur apna commission nikaalkar us company ka Ad vaha par laga deti hai.
Isi tarah se internet par bhi jab koi company apna Advertisement karna chahti hai to vo company individually kisi ke bhi contact kar kar ke Apne Ads kisi ko nahi deti hai. Vo company jo ki apna Advertisement karna chahti hai vo bhi online Advertisement companies se contact karti hai. isme se ek hai Google.
Yadi aap bhi ek company hai aur aap apne company ke products ya services ka online Ad karna chahte hai to Google, Google Adword ke madhym se humse paisa lega Aur Internet par aisi websites/ blog ya aisa koi space search karega jaha par achha khaasa traffic aata ho. Iske bad vo Ads jo ki Google Adword ke madhyam se liye gye hai unhi Ads ko Google Adsense ke madhyam se, jyada traffic wali websites/ blogs par lagaya jata hai.



Iske liye Google Adsense hume paisa bhi deta hai. Kitna paisa hume milta hai yah koi fix nahi hai. Yah depend karta hai ki vo company Google Adword ko kitna paisa de rhi hai. Jitna Jyada paisa Google Adword ko milega utha jyada paisa Google Adsense hume dega. I hope ki aapko is post ke madhyam se bahut kuch samjh aa gya hoga. Yadi fir bhi koi doubt ho to apna Question comment box me jarur likhein.

Yadi aap bhi Google Adsense se paisa kamana chahte hai to aapke pas bhi ek aisi website honi chahiye jis par ki achha khaasa traffic aata ho. Yadi webiste banane ke liye aapke pas paisa nahi hai to aajkal Internet par free website banane ke liye kai sare free platforms available hai jin par aap apni free webiste ya blog bana sakte hai.

Iske liye aapko Google Adsense par apni Gmail ID se account bhi banana hota hai. bina account banae aap Adsense se earning nahi kar sakte. Iske alawa, sirf Adsense par account hone se ya fir ek website hone se hi aap apni earning start nhi kar paenge. iske aapko Adsense ki kuchh policies, means kuchh tearms & conditions ko follow karna hota hai.Click- Google Adsense Policy
Yadi aapko meri yah post achhi lagi ho to please comment jarur kare. Aur yadi koi Question ya doubt man me ho to hmesha ki tarah plz send me mail. Thank You.