what-is-QR-code-in-hindi

What is QR Code in Hindi

Hello Friends How are you? Aaj hum bat karenge QR Code ke bare me. 

Humme se kai logo ne kai bar QR Code ka name kai bar suna hoga aur kahi padha bhi hoga yah bat mai achhe se janta hu lekin fir bhi jyadatar logo ko iske bare me koi knowledge nhi hai. 


Vaise to QR Code aaj ke zamaane me bahut hi behtarin technology hai jiska use dinodin badhta hi ja rha hai. 

To Aaj hum is post me bat karenge ki QR Code aakhir hota kya hai. 

Sabse pahle to mai aap logo se maafi chahunga ki mai kai dino baad aaj aapke liye yah post likh rha hu. Mujhe aap logo ke E-mails regular milte rhe hai. 

Jinme se kai logo ne mujhe jaldi se Sadupayog blog par regular hone ki bat kahi. 

To dosto lo aaj mai aa gaya hu fir ise Sadupayog Best Hindi Blog par. 

Ab mai puri koshish karunga ki aap logo ke touch me rhu.

Dosto ek bat aur mai aap logo ko batana chahunga ki mai aaj bahut khush hu. Iske pichhe 2 reasons hai. 

Pehla reason to yah hai ki aapke apne is Sadupayog Best Hindi Blog ke ab tak puri duniya me 50,000 visitors se jyada  ho chuke hai. 

Aur dusri bat yah ki Sadupayog Blog ki income se 26 May 2016 ko maine new scooter TVS Jupiter li hai. 

Iske bare me hum next post me bat karenge. Ab bat karte hai QR Code ke bare me.

What is QR Code?


QR Code stands for Quick Response code. Vaise to iske name se hi samjh me aa jata hai ki Quick Response code means Jaldi se read kiya jane wala code. 

Hum log kai jagah par QR code ko dekhte hai lekin iska proper knowledge nhi hone par hum ise avoid kar dete hai. 

Lekin is post ko padhne ke bad aisa kabhi nahi hoga. 

Is post ko padhne ke baad ab aap QR Code ko idhar udhar search karnge ye mera dava hai.  
qr-barcode-scanner-generate-qr-code

QR Code code ek aisi technology hai jisme ki kai sari important informations ko ek chhote se code ke andar rkh diya jata hai jaisa ki image me dikhaya gya hai. 

Is Code me maine apne blog ki information di hui hai. lekin ise read kaise kiya jae yahi problem hai. 

Yah bahut hi jyada important chiz hai jiska use regular badhta hi ja rha hai.


QR Code ko sabse pahle  motor vaahan aur udhyogo ke liye hi banaya gya tha lekin bad me iski regular maang ke kaaran iska jyada se jyada use hone laga. 

Maine ek Niche ek video upload kiya hai jiske dwara aap achhe samajh paenge ki QR code ko kaise read kiya ja sakta hai.

How to read or how to scan a QR code?

QR code ko vaise to QR code scanner ya reader ke dwara read ya scan kiya jata hai lekin aajkal aap apne android mobile se bhi QR code ko easily read kar skte hai. 

Aap apne Android mobile ke playstore me jakar QR code reader ya QR Code Scanner ko install kar lein aur fir niche video me diye gye instructions ko follow karte hue QR code ko read kar lein.

How to generate QR Code online

QR code ko hum bhi apne according generate kar skte hai yah koi badi bat nhi hai. 

Yadi aapka koi business ya company hai ya fir aap aur koi kaam karte hai to aap uski informations ka QR code online bhi generate kar sakte hai. 

Jo ki mai aapko batane wala hu. 

Ise dhyan se padhiyega. QR code me aap apne work ya business se related koi bhi important informations rakh skte hai jaise ki firm ya company ka name, logo, website url, contact no., Address ect.
QR code generate karne ke liye vaise to internet par kai sari websites available hai lekin mai kuchh websites ke name yaha de rha hu aap in websites ke dwara apne hisab se QR Code generate kar sakte hai.


Upar di gai websites ko aap ek bar jarur visit kare aur apne according QR Code generate karne ki koshish kare aur QR code generate hone ke bad aap ise download kar sakte hai. 

Aur jaha aap chahe ise use kar sakte hai.
To dosto aaj humne sikha ki QR Code kya hota hai. QR Code kaise banate hai. 

Aur QR Code ko kaise read ya scan karte hai. 

Aur adhik jankari ke liye aap niche diya gaya Video dekh sakte hai. 

Aur Yadi yah Post pasand aai hoto please jarur share kare apne best friends ke sath. 

Aur Yadi kkoi doubt ho to please comment jarur karein.
Milte hai meri next Post me :-)