How to Use Mobile As Wireless Speaker in Hindi

laptop-speakers-mini-speaker-wireless-speakers-magic-tricks

How to Reuse Old Android Smart Phone

Hello Friends! How are you? Today is a very special day for me. Dosto kya aap jante hai ki aap apne Android mobile ko apne laptop ke liye "as a speaker" me use me le sakte hai. Ji ha wifi ka use karke aap apne Android smart phone ko as speaker bhi use kar sakte hai. Aaj hum isi bare me discuss karenge.
Lekin usse pahle hum bat karenge ki maine aaj ke din ko special day kyu bola hai. Pahli bat to yah ki mai pichhle 6 months se is blog par continue posts likh rha hu jo ki aap logo ko bahut pasand aa rhi hai aur aapke Questions/comments bhi mujhe regular mil rhe hai aur mai regular aapke Questions ka jawab de bhi rha hu.



Achha laga mujhe kyuki itne kam time me aap logo ka itna pyar mila. Aur within only 6 months aapke is best hindi blog ko 1,00,000 (1 lac) se bhi jyada visitors mile. Aaj ka din isliye special hai ki aaj mai is blog ki 100th post likh rha hu jo ki aap padh rhe hai. Ab mere blog se mujhe achhi khasi earning hone lagi hai. Jise jaldi hi mai aap logo ko iske bare me jankari dunga.

Whats is Wireless Speaker
Sabse pahle to mai aapko bata du ki wireless speaker hota kya hai. Jaisa ki name se hi pata chal rha hai ki kisi device me aisa speaker jo bina wire se us device se connected ho. Aap apne Android smart phone ko bhi apne laptop ka wireless speaker bana skte ho. Yah ek bahut hi easy way hai. Isme koi extra kharch bhi nhi hai. Yah ek simple se mobile trick hai jise mai aap logo ke sath share krne ja rha hu. Yah post padhne ke baad mujhe pata hai ki aap apne aap ko 1 minut ke liye bhi nhi rok paenge aur jarur is trick ka use karenge.
How to use Mobile as a Wireless speaker
Main yaha step by step aapko yah trick batane ja rha hu aap ise dhyan se padhe. Jisse ki aapko bar bar ise na padhna pade. To chaliye hum start karte hai. Sabse pahle to aap apne Laptop ko wifi se connect karke usme internet chalu kar lein. Iske bad aap is wifi network se apne Android smart phone ko bhi connect kar lein. Ab Apne moble me play store me jakar Soundwire app ko download kar lein. Is app ka photo mai is post me share kar rha hu taki aap koi dusri ap/p download na kar lein.

speakers-for-laptop-tips-and-tricks-speaker
Soundwire mobile App
Jab aapke mobile me Soundwire app download and install ho jati hai tab aapko soundwire server software/app ko apne laptop me bhi download karna hai. jaise hi aap Google me type karenge Soundwire server app free download, to aapko easily yah software mil jaega jise aap apne laptop me download kar lein. Download hone ke bad aap ise install kar lein. 
Aap aap dekhenge ki aapke mobile aur laptop jo ki dono same wifi se connected hai, me Soundwire software download ho chuka hai, tab aap aap is software ko dono devices me open kijiye. jab aap apne mobile me  Soundwire  app ko open karenge to aapko is type ki image dikhai degi.-

Soundwire in Mobile
how-to-do-bluetooth-speakers-online-notebook-laptop
Soundwire in Laptop or PC

Upar 2 Images di gai hai. Ek hai Mobile ki aur dusri hai Laptop/PC ki. Aapko apne laptop/PC me jo server address dikhai de rha hai Top-Left me, usko mobile wali App me dalna hai aur connect button par click karna hai. Jaise hi aap connect button par click karenge Laptop/PC me aap dekhenge ki  Connected likha hua aa gya hai. Iska matlab hai ki aapka mobile aapke laptop/PC se connect ho chuka hai. Ab aap apne Laptop me koi bhi audio ya video play kare aur apne mobile me iski aawaz sune.

To Dosto aaj humne is post me sikha ki hum kaise apne mobile ko apne laptop ka speaker bana sakte hai. Ab aap jaldi se is trick ko try kare aur mujhe bataye. Yadi koi doubt ho to please mujhe jarur yad kare aur is post ke niche hi  comment kar dein. Please aap mujhe call na kare Kyuki kai log pata nhi kaha se mera no. dhundh kar mujhe call karte hai jisse mujhe disturb hota hai kyuki mai hmesha kahi na kahi busy hota hu. To please comment hi kare. Milte hai mere next post me jo ki Online earning ke bare me hogi. Mai jaldi hi aapko online paisa kamane wali shandar website ke bare me batane wala hu meri next post me. To meri next post padhna na bhulein. Bye. Take care doston. :-)